Huwal Sarkar Peer Adil
Zindagi pur fiza ho gayi
Faas anfas se ab meri
Zindagi pur ziya ho gayi
Unki yaado me khoye hue
Unki yaado me khoye hue
Khudi apni duboye hue
Sar tapa hai unhi ka nasha
Nuri mehfil sajaye hue
Unki surat pe shaida hue
Unki seerat pe shaida hue
Hum kaha the kaha aa gaye
Unko naqsha banaye hue
Koi dildar aisa nahi
Koi ghamkhwar aisa nahi
Hamse badkar ko bhi yaha
Hai gale se lagaye hue
Unse jo zikr hasil hua
Unki rahmat me dakhil hua
Maarefat ke wo raze khafi
Unke naino se aaye hue
Aisa pyala pilaye hue
Haq ko Haq se milaye hue
Maikhane wo khuda ke sada
Har qadam par banaye hue
Peer Adil ka aisa karam
Ab hai wahdaniyat par qadam
Peer Fehmi bane rahnuma
Khud ki mehfil sajaye hue
No comments:
Post a Comment